Thursday, February 5, 2015

Fir kuch likhun

Dil ki aawaaz jab
Shabdon ke sahare
Kaagaz par utare
Sadiyan bit gayin
To socha
Kuch to likhun
Par prashn bada tha
Likhun to likhun kya?
Kya bhaav hai?
Kya abhaav hai?
Kya khushi hai?
Kya nami hai?
Kya hun poora?
Ya kuch kami hai?
Fir is prashn ka
Ek hi uttar mila
Khud ki aawaaz hi
Sun nahin pa raha hun
Shayad isiliye hi
Likh nahin paa raha hun