Monday, December 13, 2010

Udaan

Final Flight
baadalon ko chule tu
Ud panchiyon se aage
kyun reng raha hai dharti par
Tod de saare dhaage

Udaan..Udaan
Kya hai tera kaam yahan
Chune Ko jab hai aasmaan
Udaan..Udaan
sapnon ki us duniya ko
haqeeqat ka hai armaan

Mita le apni pyaas tu
jalne de andar ki aag
jo soch raha tha sadiyon se
Udkar,unhein pora karle aaj

Udaan..Udaan
bheeg ja baarish mein tu
apne andar ko tu jaan
Udaan..Udaan
chalang laga vishvaas bhari
paa jaayega aasmaan