Wednesday, December 1, 2010

Kaun Hun Main

Self Existence
Kabhi ek pehchaan to kabhi anjaan bhi hun 
Kabhi ye dhara kabhi aasmaan bhi hun 


Kabhi madhur swar kabhi hunkaar bhi hun
kabhi seedha  kabhi shararat ka bhandaar bhi hun  


kabhi khuli kitaaab to kabhi raaz bhi hun
Kabhi hun behta paani kabhi aag bhi hun 


Kabhi baddua to kabhi aashirwaad bhi hun
kabhi komal patta to kabhi faulad bhi hun


Kaun hun main ...
Kabhi kuch nahin kabhi pura brahmmand hun