Monday, February 10, 2020

Shayaris

Jalane ki kabhi jo jurrat ki zamane ne
bheeg gayi sadiyan sabhi usi ujaale mein

Banjar hi achchi thi dil ki ye zameen
pholon ki chand raat ke badle
aansuon ka sailaab hai

Noton se nahin choton se jano
haisiyat nahin himmat se jano
gam mein bhi muskuate hoton se jano

Duniya badalne ke sapne dekhe
par neend se na jage
lakeeron se to raja the wo
karm se the abhaage

har hanste chehre ka nakaab samajhta hun
kari hui har madad ka hisaab samajhta hun
bada seedha saadha tha beeta mera bachpan
aise bade ho jana main bekaar samajhta hun

dar nahin lagta hai tere nakaare jaane se
aafat to aayegi tere maan jane se
door jo tujhse hun jiya hun kai bahane se
bahon mein gar simtin to ruke kaise jan jane se

No comments:

Post a Comment